Friday, April 6, 2012

DARD

DARD HAI DUNIYA MEIN KITNA,
           KOI NA PEHCHANE,
INSAN BHI HAR ROOP MEIN,
          DARD KO NA JANE.

SAGAR KI TARANG YA LEHER HAI,
DARD KABHI KHUSHI TO KABHI KEHER HAI.

DARD WO JO KHUSHI MEIN BHI OR,
          GAM MEIN BHI, KISI KA EHSAAS DETA HAI.

KHUSHI MEIN INSAN DARD KO BHULA DETA HAI,
DARD MEIN WO HI DARD SABKO RULA DETA HAI.

DARD PREM MEIN,
           TYAAG MEIN,
           EHSAAS MEIN DARD HI HAI.

WO JO SAHI RAH DIKHLA DETA HAI,
KON HAI APNA,
          KON HAI PARAYA,
YE BATLA DETA HAI...........

INSAN KA DARD SE BAHUT BADA RISHTA HAI,
KABHI-KABHI KESE KAHE ............
                 
         YE DARD BHI EK FARISHTA HAI..................

JYOTI GUPTA.............

No comments:

Post a Comment