Thursday, September 11, 2014

Mushkil Safar

Musafir tu chal itna ki,, Manjil khud-b-khud raah ban jae.. Lad ja in mushkilo se itna.. Mushkile khud hi aasaan ho jae... Raah me gar na ho mushkil.. Tab raah bhi kya apni raah btae.. Jujh le in mushkilo se itna.. Manjil bhi ab or raah na dekh pae... Maana ki manjilo ko paana hai mushkil... Kar koshish... Kahi in manjilo me koi daraar na aa jae... Tu chalta ja,,tu girta ja,.. Na dar tu in pathraavo se... Kaash!!!!!! Ye manjil jald hi teri hakikat ban jae... Pahunch se dur hoti hai har manjil.... Kar le haasil isko tu.. Kahi ye manjil bas ek sapna hi na ban jae.... Written by----Jyoti Garg

Saturday, September 6, 2014

Takdeer ka chakra

Takdeer kese kese khel khilati hai,,,, Kabhi hasati hai, to kabhi rulati hai,,,, Takdeer har pal ek naya mod lati hai,,, Jisne sab khokr b sb kuch paya,,,, or... Jisne sab pakar b kuch na paya... ye hi to h takdeer k khel...... Takdeer har pal apna ehsaas dilati hai..... Sab chale sath apni takdeer k..... Qki takdeer hi sbka sahi waqt batati hai...... written by----Jyoti garg(ME)

Thursday, September 4, 2014

MAA KI MAMTA

Maa pyar,sneh,dukh,dard ka sahara hai,,,,,, Saath iske saara jivan humara hai..... Gar haath ho iska sar pe humara,,,,,,, Sanwar jae jivan ka har din humara,,,,, Maa mamtamayi,karunamayi hai..... Deti hai sahara,,ye dayamayi hai..... Iski god me sar rakhkar so lo.... Jivan ki khusi ke phulon se bhar lo........ Dhoop chhanv se ye bachati...... Apni mamta hum par lutati..... Duniya ne gar kar dia kinara..... Aanchal me iske hume mila sahara.... Kaanto ko chunkar hume phoolon par chalati...... Maa har waqt alna ehsaas dilati...... Hawaa me behna,,,pani me chalna sikhati... Har kadam pe hume sahi raah batlati..... Pitaa ka pyar,guru ki siksha,,,,,,,, Maa ka gyan hai,sabse uncha,,,,, NA ban saka koi iske jesa,,,,,,, Iska dulaar hmesa,ek jesa.... Love u mmumma..... Written by-----JYOTI GARG

BOJHIL PRATHVI

Pal pal gujarte pal........ Har pal bitata pal...... Jo aaj hai, kesa tha wo bita kal....... Jo aaj hai.kesa hoga fir ye kal....... Sikud rahi hai iski seema...... Ujad raha hai iska kal....... Maanav ka hai badhta bojh...... Khtam ho gaya ab bhu tal........ Sansaadhano se ho aakarshit...... Maanav ne kar di hal chal...... Jyadati ki gayi is par itni..... Gir gaya iska manobal....... Kaanp rahi hai iski kaaya....... Chehra kitna gaya hai badal ....... Roti prathvi kehti mujse...... khatm kar dia tumne mujhko....... Chhor do mujhko A Maanav dal......... Vinati karti tumse prathvi....... Mar rahi hai ab har pal.......... Written by-----jyoti garg

Chamakati roshni

Nikalati kirne ,chamkati roshni suraj ki..... Bikherti apni aabha ko...... Dho deti hai mukh prathavi ka........ Ujjaval sa kar jati hai..... Sukh milta hai sabko isse...... Taap hai deti apni tapan se .... Na ho koi kami kabhi bhi...... Kehti hai ye kya roshni........ Chaand taaro ko bhi chamkati........... har din nayi umang bhar jati...... Shuruaat hoti din ki isse....... Khatm bhi hoti mithi kiran se....... Bin iske timir hai chhata..... Duje pal ye roshan kar jaata........ Written by------JYOTI GARG

KKhuda Ki Rahmat

A khuda,,a khuda...... me hui uspe fida..... Tujhse teri rahmato se juda..... kyu kah dia mene tujhe alvida. ....... A khuda a khuda........ Mila mujhe wo sakhsh .... jo tune mujhse mila dia.... Tanha zindagi ke safar me...... haath uska thama dia.... A khuda,a khuda.. Bhul gayi me tujhko bhi..... Jab pyar uska mujhe mila.... Do pal ki bas ye khusiya thi..... ab taaumar hai us se gila..... A khuda,a khuda Na de dard tu mujhe itna..... saath bhi na pa saku me tera..... de de mujhe bhi jine ka to koi sahara..... Mar jau ya thaam lo haath mera.... A khuda, a khuda.... Written by jyoti garg
Haatho ki lakeero pe likha hua padhna,aasan nahi... apni kismat ko badlna,aasan nahi..... Badalne ko to hum duniya badal de. ....... kismat ko jo badal sake esa duniya m koi insaan nahi.... Written by jyoti garg